• (bkz: nusret fateh ali khan)
    (bkz: oraison al'imam hussein)

    shaheed-e-karbala ki momino jab yaad aati hai
    tarap jati hai dunya khoon ke aanso bahati hai
    ya hussain! ya hussain!
    (oh believers, when we remember the martyrs of karbala
    the world yearns, sheds tears of blood
    oh hussain! oh hussain!)

    shah ast hussain baadshah hast hussain
    deen-ast hussain deen-pana hast hussain
    sar dad na dad dast dar dast-e-yazeed
    haq-a ke binae la ila hast hussain
    (hussain is the master, hussain is the king,
    hussain is faith, hussain is refuge for the faith,
    he gave his head but not his hand in yazeed's hand,
    verily hussain is the foundation of la'illah)

    sajday mein sir katanay ko aakhir kata dia
    laikin khuda ke naam ka danka baja dia
    ya hussain! ya hussain!

    deed ki gar talaash hai sir ko jhuka namaaz mein
    dil se khudi ko door ker khud ko mita namaaz mein
    aaye ga tujh ko tab nazar ro-e-khuda namaaz mein
    pehle hussain ki tarah sir ko kata namaaz mein
    aur keh ya hussain! ya hussain!

    kiss ki majaal ay hussain kiss ko ho tujh say hamsari
    baap ke ghar immayatein nana ke ghar payambari
    shakl-e-hussain daikh ker haq bhi kahay ga hashr mein
    ay mairay mustafa ke laal ummat-e-mustafa ber'ee
    ya hussain! ya hussain!

    salami karbala mein kia qayamat ki ghari hogi
    churi shabbir ki gardan pay jiss dam chal rahi hogi
    kalay'ja thaam ker peer-e-falak bhi reh gaya hoga
    kalajay per ali akbar ke barchi? jab lagi hogi

    mujhay janay do pani bhar ke yeah abbas kehtay thay
    kayii din ki piyasi hai sakina ro rahi hogi
    luti hai jaisay dunya karbala mein ibn-e-haider ki
    kisi mazloom ki dunya na dunya mein luti hogi

    mohammad ke nawasay nai jo ke taighon? ke sa'ay mein
    bashar to kia farishtoon se na aise bandagi hogi
    nabi se paishtar maishar mein ummat bakhswanay ko
    hussain ibn-e-ali aa'ain gay dunya daikhti hogi

    hamaray khoon ke badlay mein ummat bakhsh day ya rub
    khuda se hashar mein yeah iltija shabbir ki hogi
    baray ghamkhaar hein wo gham na ker? bakshish ka ay purnam
    karam say punj-tun k hashar mein bakhsish teri hogi
    ya hussain! ya husaain!

    ey jab chaand tan say niklay lab per tairay ho kia
    ya hussain! ya hussain!
    husn ki ibtida hein wo ishq ki intiha hein wo
    ya hussain! ya hussain!
hesabın var mı? giriş yap